Sunday, 8 March 2026

🛍️DAY66: A Unplanned eid ki shopping

07-03-2026 | Day 17 of Ramadan

Aaj ki subah… ekdum hungama wali thi.

Kal raat main 11:30 baje hi so gayi thi. Mujhe laga tha ki aaj subah bahut fresh feel hoga. Lekin jab aankh khuli toh pata chala ki periods blood se  poora blanket aur sheet blood se stain ho gaya tha.

Sach bolu toh thoda embarrassing laga.
Mummy ne bechari phir se saari sheets dhoyi.

Kabhi kabhi lagta hai — “koi bol sakta hai main abhi bhi badi ho gayi hoon?” 😅

 chalo… subah ka routine start.
Naha liya, thoda khaya, thoda padha.

Uske baad kya?
Phone uthaya… thoda scrolling… thoda timepass… thodi book reading.

Phir mujhe yaad aaya ki blog pending hai.
Socha likh leti hoon.

Lekin jab likhne baithi… toh achanak ek thought aaya —
“Main itna negative kyun likh rahi hoon?”

Mujhe irritation hone lagi.
Maine laptop band ki.
Book band ki.

Aur chup chaap thodi der let gayi.

Mood change karne ke liye maine Bharti Singh ka half vlog dekhna shuru kiya.
Uski energy dekh kar thoda mood light ho gaya.

Aur pata hi nahi chala…
shaam ho gayi.


Iftaar hua.
Aur iftaar ke baad main mast Adi se baat karne lagi.

Tabhi Dara :
“Chal uth… shopping chal.”

Mera bilkul mood nahi tha.
Lekin woh baar baar bolti rahi.

Mujhe pata tha —
mere bina yeh jaane wali nahi hai.

Finally maine haan bol diya.

Phir thoda family drama bhi hua (jo har ghar mein hota hi hai 😅).


Shaam ke around 8 baje main, meri do behne aur Ammi shopping ke liye nikal gaye.

Aur wahhh… bus bhi khali mil gayi!

Bus number 340.

Mummy ko laga tha bus west side jaayegi… lekin woh east ki thi. Aur phir thoda extra chalna bhi pada.

Phir mummy ko achanak good citizen mode aa gaya.

Unhone bola:
“Platform ticket le kar hi bridge cross karenge.”

Sach mein upar T.C. khade the.

Us moment par mujhe phir realize hua —
Mummy log ke paas sach mein supernatural powers hoti hain.


Finally hum shopping area pahunch gaye.

Aur jaise hamesha hota hai —
hum ek hi shop mein jaate hain: Zalak – Kids Wear.

Haan… funny hai.
But wahi humari size mil jaati hai 😄

Starting mein mujhe kuch bhi pasand nahi aa raha tha.

Lekin phir Dara ko ek dress pasand aa gayi.
Aur woh suddenly full shopping vibe mein aa gayi.

Maine socha —
“Accha, ghar par toh bol rahi thi bas dekhungi!”

Phir main bhi mood mein aa gayi.

Mere saath ek classic scene hota hai:

Jo mujhe pasand aata hai…
woh mummy ko pasand nahi aata.

Aur end mein usually mummy ki choice hi jeet jaati hai.

Lekin aaj…

Mujhe ek kaftaan bahut pasand aaya.
Mummy ko bilkul pasand nahi.

Aur main wahi shop mein zid start:

“Mummy please yeh… mummy please woh…”

Finally…
I got it.

Aur sach bolu —
bahut maza aaya. pasand ki cheez jo mil gyi


Ab meri aur Dara ki shopping ho gayi thi.

Lekin Golu–Kaali ko kuch pasand hi nahi aa raha tha.
Unhe sirf brown color chahiye tha. abb humme Jogeswari west jaana pada Vaishali market

Raat ke almost 10baj gye thee humne fatafat auto liye and ran towords it

itna ghumna pada pure market. bheed aur chakkar dono bhi aane laga.and finally 3 hr ghumne ke baad

Eid shopping almost done.

Ab bas thodi chhoti chhoti cheezein reh gayi hain:

• Jhumka
• Sandals
• Aur mujhe ek achha night suit

Bas phir complete.


Aur haan… humne khaana bhi mast khaya.

• 2 plates momos (fried + steamed)
• Kichda
• Shawarma

Full foodie night.

Jab ghar wapas aaye…
tab 12:40 a.m. ho chuke the.

Aur raat ko bina traffic ke auto ride ka alag hi maza hota hai.

Sach mein…
day started low but ended high.

Alhamdulillah.


Lekin ...................................

Hum yahan Eid shopping kar rahe hain… khana kha rahe hain… has rahe hain.

Aur duniya ke kuch jagahon par log sirf zinda rehne ki dua kar rahe hain.

Conflicts jaise Iran, Israel, aur United States ke beech tension news mein chalti rehti hai… aur uska darr aam log feel karte hain.

Mujhe woh chhoti chhoti bachchiyan yaad aati hain jo school gayi…
aur kabhi ghar wapas nahi aayi.

Unhe toh pata bhi nahi tha ki woh shaheed ho jayengi.

War mein sabse zyada darr soldiers ke families ko hota hai…
aur aam logon ko.

Kabhi kabhi lagta hai —
agar baat se problem solve ho sakti hai, toh log baat kyun nahi karte?

Khair…

Aaj ke din ke liye bas itna hi.

A day that started with chaos…
ended with laughter, shopping, food, and gratitude.

Alhamdulillah.
Safarnama 🌙

No comments:

Post a Comment

🌸DAY145: 26-05-2026: Trying to balance my Day.🌸

DATE: 26-05-2026 Aaj ka lunch Hii Guys, it’s me here again… welcome back to my daily blog 💫 Honestly telling… mujhe khud par bahot gussa aa...