Saturday, 14 February 2026

🛌DAY45: I did nothing Today...

14-02-2026

Abb kal boss toh full khush the—daru peeke wahhhh 🍻😂. Aur isi nashe ka fayda uthate hue maine bhi chutti ki maang kar li 😌. Aur phir kya… Qubool hai ho gaya 💍. Aur ek aur Qubool hai bhi ho gaya—woh aapko kal ya parson pata chal hi jaayega 😏✨.

Waise roz-roz subah uth uth ke meri ek nayi habit ban hi gayi hai—jaldi uthne wali ⏰. Matlab max 10:00 a.m. tak toh main uth hi jaati hoon. Haan, kuch logon ke liye yeh late hoga, par mere jaise aalsi logon ke liye yeh bahot badi achievement hai 🛌🏆.

Uth kar sirf 1 hour maine full TP kiya 😵‍💫. Aur jabki rule hai ki subah uthte hi phone use nahi karna chahiye 📵… phir bhi maine wahi kiya—phone chala liya 📱🙈. Sabse pehle Valentine’s Day wish kiya apni 4lyferz ko 💌. Woh 3 girls jo literally mere dil hain 💕.

Uske baad main, mummy aur lala milkar cockroach maarne lage 🪳⚔️—kyunki itne zyada ho gaye the ki ghar ka kitchen aur poora ghar lag raha tha jaise tufaan aa gaya ho 🌪️. Ghar ka kaam dekh kar mujhe waise hi bahot ghabrahat hoti hai 😰. Toh main phir bas phone chalate-chalate so gayi 😴.

Aur aankh khuli… seedha shaam ke 5 baje 😳. Wahh! Aisi hoti hai meri chhutti. Dekh lo—main aaj nahayi tak nahi hoon 🚿❌. Itna sone ke baad headache hona toh fix hi hai 🤕. Na koi kaam, na koi plan.

Phir yaad aaya mujhe cash lene tha 💸. Toh main chali ek chhoti si walk par—metro station tak 🚶‍♀️. Upar se hi cash nikaala, aur jab wapas aa rahi thi… tab mujhe meri ek friend mil gayi 🥹✨. Hum sirf ek month ke liye saath kaam kiye the, bas Insta ID share ki thi, aur phir aaj achanak mil gaye—aur officially friends ban gaye 💬💞.

Sach bolun?
Usse milkar bahot accha laga 🌷.
Poore din ki laziness, headache, mess… sab thoda sa light ho gaya.
Shayad life chhoti-chhoti random meetings se hi cute banti hai 💫🫶.

-safarnama.

No comments:

Post a Comment

A walk day..

 27.09 — Sunday~ Kal subah, just morning mai subah-subah uthkar I went for a walk with my sir.. Honestly, the feeling was amazing.. and I re...