Sunday, 22 February 2026

🍽️DAY53: We all made iftaari together

22-02-2026 | Day 4 – Ramadan πŸŒ™✨

Chahe main kitni bhi “boss lady” banne ki koshish kar lu πŸ’ΌπŸ”₯
Independent personality play kar lu…

Par mere andar ek Indian keeda hai 😭
Indian soch matlab — family hi sab kuch hai.

Pehle pata tha…
Aaj mehsoos hua. 🀍

Aaj wali thakaan… uff 😩
Aisi kabhi nahi hui.

Sehri ki πŸŒ™
Namaz ada ki 🀲
Aur so gayi…

Par yeh 1 glass paani = 3 glass susu wala system alag hi test hai 🚽😭
Half sleep mein uthna… jaana… phir aana… phir uthna…
Neend ka full khichdi ban gaya πŸ²πŸ˜‚

11 baje aankh khuli ⏰
Sidd (Adi ka dost) ka message — collab mail bhejna hai πŸ’»✨
Fatafat laptop open.
Kaam start.

Par song ka title hi nahi pata 😭
Aur yeh log night workers… mujhe pata tha reply nahi aayega.
Phir bhi mail draft, edit, re-edit…

Phir so gayi.
2 baje uthkar seedha bathroom πŸƒπŸ»‍♀️😭
Wazu ka alag tension… fart se wazu toot jaata hai yaar πŸ˜­πŸ˜‚
Phir nahayi 🚿
Namaz padhi 🀲
Aur finally Sidd ka mail complete.

1 mail ke liye 24 ghante lag gaye πŸ₯²
Yeh pucho, woh pucho… but ho gaya.
Allah please usko collab mil jaye… Ameen 🀍✨

Phir hamari Kallo ka daily natak πŸŽ­πŸ˜‚
3–4 din se phone phone phone…

Aaj Abbu ne haan bol diya.
Aur mujhe saath le jaake 14k ka Oppo F6 (6GB RAM, 128GB ROM) πŸ“±✨ le liya.

Battery 6500 mAh bol rahe the (watt nahi hota madam πŸ˜­πŸ˜‚).

Sach kahu? Mujhe bhi chahiye tha.
Par need nahi hai.
Toh bas window shopping ki… phone touch karke hi khush ho li πŸ˜ŒπŸ“±✨
Kabhi kabhi sirf dekh lena bhi kaafi hota hai.

Shaam ko sab milke iftaar ready ki 🍽️🀍
Maine ek line likhi hai…
Par feeling 10/10 wali thi 🌟

Hum bahot ladte hai.
Bahot argue karte hai 😀
Mera gussa toh blood mein hai shayad πŸ˜‚πŸ”₯

Par phir bhi…
Pyaar bhi wahi sabse zyada hai. 🀍

Mast khaya πŸ›
Mast piya πŸ₯€
Namaz ada ki 🀲

Aur ab dekho… blog likhte likhte 1:12 AM ho gaye ⏳✨

Kal mere Lala ka life ka first board exam hai πŸ“šπŸ₯Ί
Mujhe dar lag raha hai…
Par yakeen bhi hai — Inshallah sab subjects mein pass hoga 🀍

Subah usse acche se revision karwaungi πŸ’ͺ
Motivate karungi ✨
Phir office jaungi πŸ’Ό

Okay bye…
Kal se pakka daily blog aayega πŸ˜‰
(But no guarantee 😭 schedule bahot hectic hai.)

Ramadan mujhe sikha raha hai —
Boss lady ho ya emotional fool…
End mein main bas ek family wali ladki hu πŸ€πŸŒ™

-safarnama

No comments:

Post a Comment

🌸DAY145: 26-05-2026: Trying to balance my Day.🌸

DATE: 26-05-2026 Aaj ka lunch Hii Guys, it’s me here again… welcome back to my daily blog πŸ’« Honestly telling… mujhe khud par bahot gussa aa...