Monday, 5 January 2026

🌙🔍Day: 6- Aao Aaj Ek Kahani Ho jaye....

06-01-2025

Subah ho chuki thi 🌅. Ek ghanta guzar gaya tha, magar woh ladki abhi tak apne khwaabon se baahar nahi aa paayi thi. Aaj kahi jaana mumkin na tha—kyonki raat usse apne saath baandh laayi thi 🌌.


Khwaab mein woh kisi ko be-inteha dhoondh rahi thi 🔍💔. Har qadam par umeed thi ✨, har mod par intezaar ⏳. Din badalte ja rahe the 📆, magar mulaqaat ka lamha nahi aata tha. Har roz woh uski dehleez par khadi rehti—awaaz lagati " ...? 🤍, sabr ke saaye mein—jaise waqt khud usse azmaa raha ho.


Phir ek din, itni koshishon ke baad, uss ghar ke andar se ek awaaz aayi 🔊.
maano wahi aur uski awaaz. woh kehne laga,
“Ab kyun bula rahe ho? mana kyun nahi kar dete, usse yahan nahi aane do…”

Phir ek aur awaaz ubhri—

“Mujhe uski aawaaz pasand hai.”
Aa rahi hai… aane do.

Woh samajh nahi paayi—kya ho raha hai? 😶Bas uski tadap😢, uska baar-baar girna .


Shayad kuch logon ko kisi aur ki fariyaad bhi pasand hoti hai 💭.


Khwaab yahin toot jaata tha 💔. Har baar. Aur jaagte hi ek sawaal reh jaata—
yeh khwaab aise kyun hote hain? 


-🌼by safarnama

No comments:

Post a Comment

🌸DAY145: 26-05-2026: Trying to balance my Day.🌸

DATE: 26-05-2026 Aaj ka lunch Hii Guys, it’s me here again… welcome back to my daily blog 💫 Honestly telling… mujhe khud par bahot gussa aa...