Saturday, 17 January 2026

🤒Day 16: A first fever of the year


16-01-2026

Chalo… chutti toh bas ek pal ki khushi hoti hai 🌸Baaki zindagi mein kaam toh karna hi hota hai —
chahe jaise bhi ho 💼

Aaj main time par nikli thi ⏰Sab sahi lag raha tha.
Lekin problem Local train. Itni bheed kis baat ki thi, mujhe aaj tak samajh nahi aaya 🚆😵Pehli train chhodni padi,dusri li —aur bas, late hona likha hua tha ⌛

Late marking ke saath office pahunchi 🏢Thodi book reading hui 📖 phir kaam shuru.Sab normal hi tha jab tak break nahi aaya.

Break mein hi mujhe halki si thand lagne lagi  🤧 Khana bhi kuch khaas accha nahi lag raha tha 🍽️Aur pata nahi kaunsa confidence tha mujh mein —maine thanda paani pi liya ❄️aur upar se ice-cream bhi kha li 🍨😬Shayad yahin galti ho gayi.5 baje ke baad se lagne laga jaise meri body toot rahi ho 💔Sir bhari-bhari sa,aur fever jaisa feel hone laga 🔥

Ghar aate waqt mummy ko inform kar diya 📱Mummy ne hamesha ki tarah seedha poocha —“Oye, daru pi hai kya?” 😅Maine kaha,“Arey nahi, fever hai.” 🤒

Aur bas…usi waqt, sirf 1 minute ke andar Adi ka call aa gaya 📞Usne sirf itna kahaki uska didaar hua, lekin woh baat nahi kar paaya 💭Kitni ajeeb hoti hai na zindagi…Hum sab kisi na kisi dor se bandhe hote hain 🧵Kabhi koi uss dor ko tod kar chala jaata hai ✂️Lekin phir bhi koi hota haijo aaj tak usi dor ko pakad kar baitha rehta hai —chaah kar bhi usse khol nahi paata 💔

Shayad…This is what life is Aur yeh 15–16 din mujhe yahi sikhakar gaye hain —ek dor tootne ke baad, aage ki paanch dor aur zyada mazboot ho jaati hain 🤍✨Seekh toh mil chuki hai 📘Ab jo zaroori dor bachi hai, use sambhal kar rakhna hamara kaam hai 🌷

Phone ghar se aa raha tha 📱aur main Adi se baat kar rahi thi.Fever mein jhoolte-jhoolte, baat karte-karte main ghar pahunch hi gayi 🏠Chadar li 🛏️aur bina kuch socheseedha so gayi 😴Jab aankh khuli, toh fever aur zyada tha 🔥🤒Doctor ke paas gayi 👨‍⚕️Check-up hua.Kuch zyada nahi tha —sirf fever.Baaki sab normal tha 👍Lekin phir yaad aaya…itne dino ke intezaar ke baad bhi mujhe Shab-e-Meraj naseeb nahi hui 🌙🤍Yeh mere liye bohot hisad moment tha 😔Dil mein thoda afsos reh gaya.

15-16 din guzar gaye ⏳lekin main chahti hoon ki aane wale dinmain aur achhe se utilize karoon 🌱Aur zyada samajhdari ke saath, aur zyada shukr ke saath 🤲✨


No comments:

Post a Comment

🌸DAY145: 26-05-2026: Trying to balance my Day.🌸

DATE: 26-05-2026 Aaj ka lunch Hii Guys, it’s me here again… welcome back to my daily blog 💫 Honestly telling… mujhe khud par bahot gussa aa...